Friday, October 24, 2008

Magnet Therapy : चुम्बक चिकित्सा

चुम्बक से सभी लोग परिचित है । यह ऐसी धातु है जॊ लोहे को अपनी ओर आकर्शित करती है । इस धातु का चिकित्सा में भी उपयोग करते हैं । चुम्बक के प्रयोग से बहुत तरह की शारीरिक बीमारियां दूर की जा सकती हैं ।
North Pole can be used to treat : उत्तर ध्रुव को निम्न बीमारिओं में प्रयोग करते है ।

• Leucoderma सफ़ेद दाग
• Muscular weakness / Paralysis मान्स्पेशियॊं की कमजॊरी / लकवा ग्रस्त अन्ग
• Disorders and in-adequacy of Blood Circulation रक्त बहाव में कोई गडबडी
• Inactivity or underactivity of an Organ or a Gland शरीर के किसी अन्ग या ग्रन्थि का कम काम करना
• Stumulation of Pancreas to secrete more Insuline and enzymes पॆन्क्रियाज को उत्तेजित करना , ताकि वह अधिक इन्सुलीन या पाचक रस पॆदा करे
• Under development of an Organ शरीर का कोई अन्ग कम विकसित हो
South Pole can be used to treat : दक्षिण ध्रुव को निम्न बीमारिओं में प्रयोग करते है ।

• Muscular Cramps /Spasms, pulled muscles
• Mental Tension , sleeplessness, anxiety, short temper
• Fresh Injuries with a view to arrest bleeding
• Localised swelling anywhere in the body
• Painful condition, Headache, Toothache.Cervical sponsylosis, Backache, Knee joints pain, Arthritis etc.
• Boils, Carbuncle,Stings, New Growth, Tumours, Cancers etc.
• Infectious Disease conditions
• Over activity of an Organ or Glands

Tuesday, October 21, 2008

Magnet Therapy : चुम्बक चिकित्सा

चुम्बक से सभी लोग परिचित है । यह ऐसी धातु है जॊ लोहे को अपनी ओर आकर्शित करती है । इस धातु का चिकित्सा में भी उपयोग करते हैं । चुम्बक के प्रयोग से बहुत तरह की शारीरिक बीमारियां दूर की जा सकती हैं ।
North Pole can be used to treat : उत्तर ध्रुव को निम्न बीमारिओं में प्रयोग करते है ।

• Leucoderma सफ़ेद दाग
• Muscular weakness / Paralysis मान्स्पेशियॊं की कमजॊरी / लकवा ग्रस्त अन्ग
• Disorders and in-adequacy of Blood Circulation रक्त बहाव में कोई गडबडी
• Inactivity or underactivity of an Organ or a Gland शरीर के किसी अन्ग या ग्रन्थि का कम काम करना
• Stumulation of Pancreas to secrete more Insuline and enzymes पॆन्क्रियाज को उत्तेजित करना , ताकि वह अधिक इन्सुलीन या पाचक रस पॆदा करे
• Under development of an Organ शरीर का कोई अन्ग कम विकसित हो
South Pole can be used to treat : दक्षिण ध्रुव को निम्न बीमारिओं में प्रयोग करते है ।

Tuesday, October 14, 2008

Homoeopathic medicine

ZINCUM MET 3X, 6X and more

Yah rakta, nerves aur brain mein paya jata hai aur nerve endings mein yah sakriya bhumika nibhata hai
• Brain fag mein sabase adhik prayog karate hain
• Intense fidgetiness
• Neuralgia
• Pruritis
• Formication of Skin
• Headache over Eyes
• Burning Eyes
• Neurasthenia
• Delirium
• Emaciation
• Phlebitis

Matra : 200 mgs three four times a day

Monday, October 13, 2008

MANASIK AVASAAD aur Mental Tension ki stithi mein kya karein ?

Desh mein is samay bahut uthal puthal machi huyi hai , visheshkar jab se sensex ki stithi bahut kharab huyi hai, kuchch log sidhe sidhe isase prabhavit ho rahe hain, kuchch sidhe sidhe na sahi, parokshsha rup se prabhavit ho rahe hai, kuchc halke se ghabara rahe hain, kuch soch vichar karake chintit hain, Kahane ka matalab yah ki desh ke nivasi is samasya se kam ya adhik pareshan hain, aur mental tensin is preshani ki evaj mein hina lazimi hai Homoeopathy mein is tarah ki stithiyon ki bahut achchi davayein hain, jinake sevan karane se MENTAL TENSION, DEPPRESSION, ANXIETY, GRIEF, CHAGRIN, GLOOMINESSA jaise syndromes mein ya to samapt ho jate hain ya phir unaki ugrata bahut kam ho jati hai Yah ek satya samajhana chahiye ki jab takkaran ka nivaran nahin ho jata , tab tak manasik shanty nahin mil sakati, isaliye is baat ko samajhana chahiye ki jab tak sensex ki stithti nahin sambhalati tab tak to mental tension aur doosari stithiyan to bani hi rahengi, chahe usake liye kuchch bhi kiya jay, kyonki yahi vah karan hai , jisaki vajah se aisi mansik stithi aayi hai, isaliye is satya ko samajhana hoga, aur man mein yah sankalpa lena hoga, man ko yah samajhana hoga ki jab stithiyan thik hongi tab tak kuchch na kuchch bardashta kiya jana chahiye Koi bhi vyapar ho, ghata napha nukasaan to laga rahata hai, jara vichar kariye, jab sensex unchayiyon ki taraf jar aha tha, to sab balle balle kar rahe the, sabake chehare par raunak thi, sab rakam bana rahe the, us samay to kisi ko koi pareshani nahin huyi, aaj jab nukasaan ki taraf ja rehe hain to sab chintit hain, kyon ? Kisaliye chintit hain ? Yahi na ki, nukasaan hua hai , vichar kariye aaj nukasaan hua hai, to kal phayada bhi uthayeine, is baat ka hausala rakhana chahiye, ki kal ka din jyada achcha hoga, aaj se kal behatar hoga aur kal se aage anewala din. Yah sab ke saath hai, mere saath bhi, lekin main hausala nahin chchodata, mere paas kabhi kabhi sarvajanik vahan se jane ke liye paise nahin hote hain, main rojana kaam par jata hun , mujhe teen jagah sarvajanik vahan badalane padatey hai, kabhi kisidin mere paas itane paise nahin hote ki main sarvajanik vahan se aa ja sakun, lekin mujhe jana hai to jana hai, main paidal chalata hun, kai kilometer tak, lekin is 63 varsha ki umra mein bhi mera vahi hausala hai, jo varshon pahale tha, yahan mera mataklab kahane ka yah hai ki, kabhi bhi nirash nahin hona chahiye, hausala banaye rakhana chahiye, aap kya behatar kar sakatey hain, us par sochiye, Ishwar ek darvaja band kar deta hai, jahan se aap kisi baat ki ummid lagaye huye hote hain, jab yah darvaja band ho jata hai to dusara khul jata hai, jab dusara bhi band ho jata hai to tisara khulata hai, aur isi tarah se kisi na kisi darvaje par aapaki murad puri ho jati hai Kya karein; Man ko shant rakkhein, kaya achcha kar sakatey hain , is par vichar karein, apane mitron se vichar vimarsha karein, kyonki ve bhi isi tarah ki samasya se jujha rahe hain, man ko vishram dein, kam se kam do ghante chup chap lete rahein, Homoeopathic dava lein: Homoeopathic chikitsa vigyan mein is tarah ki avsthaon ke liye bahut achchi davayein hain, jinake lene se mental tension bahut kam ho jata hai, Behatar hai kisi homoeopathic doctor ke nirikshshan mein yah davayein lein, Kuchch Homoeopathic davayein: • Ignatia 1000,10M, 50M,CM din mein do baar le sakatey hai • Natrum mur 1000,10M, 50 M • Aurum Met 1000, 10M,50M,CM Khana kam khayein: Bharpet khana na khayein, kuchch bhukhe rahein, khali pet rahane se tanav mein kami ati hai, is baat ka dhyan rakkhen, chahein to kahana ek baar khayein, baki samay juice ya halke phulake khadya padarth le sakatey hain Isake alawa aur bahut si davayein hain , jo vayktigat lakshahano ke adhar par select ki jati hain, isake liye kisi achche Homoeopathic doctor se sampark karein

BIOCHEMIC TISSUE SALTS

Biochemic chikitsa vigyaan , yadyapi Homoeopathy ke saath saath hi jodakar dekha jata hai aur isaki davayein bhi Homoeopathic dava bechane walon ke yahan hi milati hain, lekin yah chikitsa vidhi Homoeopathy se bilkul alag hai,

Kuchch samantayein Homoeopathic aur Biochemic mein kahi ja sakati hai, pahala yah ki Homoeopathy ka avishkar Germany mein hua tha, biochemic ka bhi janam Germani mein hua hai, doosara Homoeopathy ko ek German Doctor ne ijad kiya tha, Biochemic ko bhi ek German doctor ne ihad kiya tha, tisara Homoeopthic davayein banana ka tarika biochemic dawayein banana ke tarike se milata julata hai chautha jis tarah Homoeopathic dawaon ka chunav karatey hain , usi prakar se Biochemic dawaon ka chunav karatey hain

Isiliye Homoeopathy ke doctor, Biochemic dwaon ka sabase jayada upayog karatey hai

Biochemic dawayein, kabhi kabhi kisi kisi bimari mein bahut tezi se asar karati hain, jo unexpected hota hai aur unake action dekhakar bahut aashcharya hota hai, lekin aisa kabhi kabhi hota hai, lekin yah sabhi ko phayada karati hai, chahe vah kisi bhi umra ka kyon na ho

Iski davayein anya dawaon ke saath de sakatey hai, jaise ki isaka sabase achcha combination Homoeopathy ke saath banata hai,yadi Homoeopathy ki dwayein kha rahe hain to Biochemic ki dwayein bhi kha sakatey hain

Mera anubhav Biochemic dawaon ke bare mein thik hai, lekin iska prayog kaise kiya jaye yah chikitsak ke gyan, anubhav, paristithion, marij ki halat, marij ki bimari , usaki jivani shakti ityadi par nirbhar karata hai
Udaharan ke liye, emergent condition mein, is dava ka repetition 5- 5 minute ke antar se karate hai, jo dusari davaon ke saath alternate karake marijon ko dete hain,
Granthi ya ganthon ya glandular inflammation mein High potency yani 12 X ya isase adhik potency ki dava din mein ek ya do baar dete hain
Yah chikitsak par nirbhar karata hai ki vah isaka upayog kaise karata hai

Kuchcha yog ,jo foolproof hain aur jink maine prayog kiya hai, vah main niche likha raha hun

1- Bukhar mein; Koi bhi bukhar ho Ferrum Phos 6X aur Kali mur 6X ki teen teen goli milakar 2-2 ghante se khilane se kaisa bhu bukhar ho aur kitana hi tez ho, dhire dhire kam ho jata hai, is combination ko emergency ya anya sabhi bimarion ki dasha mein bhi istemal kar sakatey hai
2- Koi bhi gaanth ho, Calcarea Flourica 12 x ka upayog din mein do baar karane se gaanth thik ho jati hai

Is tarah ke bahut se combination hain, jinaka upayog Biochemic chikitsa vigyan mein karatey hain

Saturday, October 11, 2008

Biochemic Meidicnes

KALI SULPHURICUM 3X, 6X, 12 X and more
Is biochemic dava ko nimna bimarion mein upayog karatey hain
• Jin rogion ki jaban par pili rang ki coating ho
• Jab Jukham ya khansi pak jaye aur pila pila kaph nikaley
• Junaki tvacha ka rang pila pila lage, ya pilia jaisa lakshshan lage
• Jahan Pila discharge ho
• Leucorrhoea ka shrav pile rang ka ho
• Disorders due to sexual excesses

Matra; 200 mgs din mein teen char bar khana chahiye

Homoeopathic trituration

CUPRUM MET 3X, 6X, 12 X and more

Yah Homoeopathic trituration nimna bimarion mein prayog kiya jata hai
• Yah Liver mein mukhya roop se paya jata hai
• Yah Rakta mein bhi paya jata hai
• Yah Nerve cells mein bhi paya jata hai
• Aneamia
• Hepatitis
• Liver problems
• Cramps
• Deep sleep
• Hyteria
• Spasmodic affections
• Colic
• Dysmenorrhoea
• Amenorrhoea
• Chlorosis

Matra: 200 mgs din mein teen baar khana chahiye

Homoeopathic trituration

CADMIUM SULPHATE 3X, 6X

Yah nimana bimarion mein kaam aata hai
• Remedy for great dippression
• Kills the Influenza Virus
• Acts on Blood anomalies
• Nervous depression
• Toxic fever

Matra: 200 mgs three hourly for five doses

Friday, October 10, 2008

NARAYAN CHURNA Ayurvedic medicine-Powder/ churna

Yah roganusar anupaan ke saath khane se bahut se rogon mein kaam aati hai, yah nimana bimarion mein prayog ki jati hai
• Hridaya rog yani Cardiac disorders
• Pandu yani Hepatitis
• Kas yani khansi yani Cough yani Bronchitis
• Shwas yani Asthama
• Bhagander yani Fistula
• Agnimandya yani weak appetite
• Jwar yani Fever
• Kustha yani Skin disorders
• Grahani yani Bowel disorders
• Galgrah yani throat disorders
• Visha yani Toxines of all nature
Matra; [Doses] ; 1 se 2 gramm tak, din mein do baar, subah aur sham

Homoeopathic Trituration

CALCAREA IOD 3X, 6X, 12 X

Yah dava nimna bimarion mein kaam aati hai
• All complaints related to THYROID GLANDS
• Thyroiditis of any stage
• Hyperthyroidism
• Hypothyroidism
• Glands of all varieties i.e. cervical, cysts, hard or soft glands etc
• Diseases from the Defficiency of Iodine
• Metabolic disorders
• Degeneration of the Glandular tissues
• Emaciation with good appetite
• Weakness, malnutrition
• Toxieamia
• Rheumatism
• Glandular disorders
• Chronic cough
• Aneamia
• Menses copious
• Nodules, moveable in nature under skin
• Atrophy of Ovary
• All wasting disease

Matra; 200 mgs daily three or four times a day

Biochemic medicines

KALI PHOS 3X, 6X, 12X and more

Yah dava nimna bimarion mein kaam aati hai
• Best aur supreme remedy Nervous disorder ki hai
• Used in Nervous debility
• Lack of nervous energy
• Used in Brain Fatigue
• Neurasthenia
• Insomnia
• Lack of confidence
• Mental Irritability
• Hysteria
• Melancholy
• Gloominess
• Tearfulness
• Nervous headache
• Pain in the Limbs
• Offensive ulcers
• Offensive discharges
• Fearful persons
• Weak and exhausted Heart

Matra : 200mgs , three four times a day

Wednesday, October 8, 2008

LEUCORRHOEA Yani Yonimarg se safed ya rakta ya anya prakar ke shrav ka nikalana

Yah mahilaon ki bimary hai aur yah dekha gaya hai ki , is takalief se kam se kam sabhi mahilayein grasit rahati hain, yah ho sakata hai ki kisi ko jyada ho, kisi ko kam ho, lekin yah bahut kharab bimari samajhi jati hai
Is bimari ke karan mahilaon ko bahut si takaliefein ho jati hai
• Kamar mein dard rahana
• Mukh ki aabha ka kam ho jana
• Swasthay ka lagatar girate jana
• Sharirik kamjori ka dhire dhire badhatey chala jana
• Khun ki kami hoti hai
• Bhojan ka pachan thik nahin hota
• Bhukh kam lagati hai
• Pet saaf nahin hota aur kabja bana rahata hai
• Sirdard ki shikayat bani rahati hai
• Aisa mahasus hota hai , mano halk halka bukhar sa ho gaya hai
• Pet mein dard hota hai
Is bimari mein jaisa ki pahale hi kaha ja chukka hai, ki yoni marg se safed aur rakta ki tarah ka shrav nikalata hai, yah kai karano se hota hai, jinamein kuchch mukhya hai
1. Pelvic Inflammatory disease ki stithi ho
2. Kisi prakar ka yoni marg mein sankraman ho gaya ho
3. Yoni marg ki thik se safai na rakhi jati ho
4. Kisi infection yani UTI jaisi bimari se grasit hon
5. Uterus ki kisi samasya se grasit hon
6. Mansik tanav ho
7. Masik dharma mein koi vyutkram paida ho gaya ho
Isake alava aur doosare bhi karan hote hain, jinako pahachankar aur achchi tarah se nidan karake, tab ilaj karana chahiye,
Is bimari mein sabase achcha ilaj Ayurvedic aur Homoeopathic ka milajula ilaj hi behatar hai, dono hi chikitsa vidhiyon se yah bimari thik ho jati hai, lekin kuchch samay lag jata hai, isaliye dhairya poorvak chikitsa karani chahiye, tabhi achche parinaam milatey hain
Yah bimari ke oopar nirdharit hota hai ki vah kitani purani hai, aur usamein kitani pathophysiology ya pathology shamil hai, yadi jyada din ki bimari hai to jyada samay thik hone mein lagega, yadi kam samay ki takalief hai to kam samay mein bimari thik ho jati hai

KALI MUR 3X, 6X, 12 X and more

Yah dava nimana rogon ya rogon ke lakshshano par istemaal ki jati hai
• All ailments accompanied by a white or gray coating of the tongue
• Thick white discharges
• White expectorations
• Skin diseases
• Colitis
• Dysentery
• Any chronic ailments
• Genetic complaints
• Hereditary complaints
• Rheumatic problems
• Used in Chronic disease conditions, charecterised by exudations, infiltrations, swellings
• Chronic cold and catarrah
Matra: doses; 200 mgs per dose, should be repeated 3 hourly